Hamal ke dinon mein khawateen ko apni khorak ka khaas khayal
rakhna chahiye, kyun keh yehi khorak maa aur bache dono ki sehat par asar daalti
hai.
Aksar sawal pocha jata hai keh "Hamal ke doran khajoor
khani chahiye ya nahi?" to is sawal ka sab se seedha jawab hai keh zaroor
khani chahiye. Hamal (pregnancy) ke doran khajoor khane ke bohat fayde hain.
Khajoor ek aisi qudrati ghiza hai jo har umar ke logon ke
liye mufeed hai. Lekin haamla khawateen (pregnant women) ke liye is ke faide bohat
zyada hain.
Delivery Ko Aasan Banati Hai
Ek tehqeeq (research) ke mutabiq, jo khawateen delivery se 4
haftay pehle tak rozana 3 se 6 khajooren khati hain un ko delivery ke waqt bohat
kam mushkilaat ka saamna karna parta hai.
Yeh khawateen delivery ke liye behtar tayyar hoti hain. In
khawateen ko C-section ki zaroorat bhi kam parti hai. Khajoor khane se delivery
ka amal aasan aur kam takleef deh ho jata hai.
Taqat Aur Sehat Ka Behtareen Zariya
Pregnancy ke doran aksar khawateen kamzori aur thakan mehsoos
karti hain. Khajoor mein natural sugar (glucose, fructose) mojood hoti hai jo in
haamla khawateen ko foran energy faraham karti hai.
Rozana 3 se 6 khajooren khanay se maa ke jism ko taqat milti
hai aur woh zyada active mehsoos karti hai.
Bachay Ki Growth Mein Madad
Khajoor mein Calcium, Potassium, Magnesium aur Folate jaise
zaroori Minerals hote hain jo bachay ki haddi, dimagh aur nervous system ki
sehat ke liye zaroori hain. Is liye khajoor khana bachay ki achi growth ke liye
bhi zaroori hai.
Khoon Ki Kami Aur Hazme Ke Masail
Khajoor mein fiber hota hai jo qabz aur hazme ke masail ko
kam karta hai. Sath hi, is mein iron bhi hota hai jo Anemia (khoon ki kami) se
bachata hai. Wo khawateen jin ko khoon ki kami ka saamna ho wo khajoor ko zaroor
istemal karein.
Khajoor Khane Ka Behtareen Tarika Kya Hai?
Haamla khawateen khajooron ko neeche bataye hue tareeqon ke
mutabiq kha sakti hain.
- Aap rozana subha nashte mein 2 se 3 khajooren doodh ke sath kha sakti hain.
- Hamal ke aakhri mahine mein rozana 6 khajooren khana behtar hai.
- Aap khajooron ko raat ko pani mein bhigo kar subha khali pait bhi kha sakti hain.
- Khajoor ko pani ya doodh ke sath khana zyada faide-mand hota hai.
Khajoor Khane Ka Behtareen Waqt Konsa Hai?
Khajoor ko subha nashte ke baad ya shaam ke waqt khana zyada
behtar hota hai. Lekin aap is ko din ke kisi hisse mein bhi kha sakti hain.
Kin Haamla Khawateen Ko Khajoor Nahin Khani Chahiye?
Agar kisi khatoon ko Diabetes, Blood Pressure (BP) ya koi aur is tarah ka masla ho to khajooren khane se pehle apne doctor se mashwara zaroor karein.

0 Comments