Lambe nakhun rakhna taqreeban har larki ko pasand hota hai.
Kyun ke lambe nakhunon par nail polish lagana bhi aasan hota hai aur yeh
khoobsurati mein izafa bhi karte hain.
Lekin lambe nakhun rakhna itna aasan nahin hota jitna keh
nazar aata hai. Kyun ke agar in ki munasib dekh-bhaal na ki jaye to yeh tootne
lagte hain ya phir be-jaan aur bad-soorat nazar aana shuru ho jate hain.
Agar aap ke nakhun barhte barhte toot jate hain, to pareshan
na hon. Neeche diye gaye tips nakhun lambe karne mein aap ki madad kar sakte
hain.
Kya Aap Nakhun Lambe Karna Chahti Hain?
Nakhun lambe kaise karen? Yeh sawal bohat si khawateen poochhti
hain. Agar aap bhi yehi soch rahi hain aur nakhun lambe karne ka tarika dhoond
rahi hain to yeh article aap ke liye hi hai.
Is article mein hum aap ko kuch aasan aur asar daar tareeqe
batane ja rahe hain. In ki madad se aap ke nakhun na sirf lambe ho jayenge
balkay sehatmand aur khoobsurat bhi nazar aayenge.
1. Nakhun Saaf Aur Khushk Rakhein
Agar aap chahti hain ke aap ke nakhun lambe aur mazboot hon
to sab se pehle in ko saaf rakhna zaroori hai. Kyun ke ganday nakhunon mein
germs paida ho jate hain jo in ko kamzor kar dete hain. Is liye nakhunon ko
zyada se zyada saaf rakhein.
Doosra hath dhone ke baad nakhunon ko achi tarah se khushk karna
chahiye. Zyada nami nakhunon ko naram kar deti hai aur yeh tootne lagte hain.
2. Nakhun Chabane Ki Aadat Chhor Dein
Agar aap ko nakhun chabane ki aadat hai to yeh aap ke lambe
nakhunon ke liye ek khatra hai. Bohat si khawateen ko nakhun chabane ki aadat
hoti hai jo nakhunon ki growth ko rok deti hai.
Jab aap nakhun chabati hain to woh kamzor ho kar toot jate
hain aur un ki shape bhi kharab ho jati hai. Is aadat ko dheere dheere chhorne
ki koshish karein taake aap ke nakhun naturally barh saken.
3. Nakhunon Par Tail (Oil) Se Malish Karein
Roz raat ko sone se pehle badam, zaitoon ya nariyal ka tail
nakhunon aur in ke ird gird ki skin par lagayein. Halki si malish karne se
khoon ki gardish behtar hoti hai aur nakhunon ko ghiza milti hai.
Khaas tor par agar aap ke nakhun khushk hone ki wajah se toot
jate hain to is se nakhunon ki khushki khatam hoti hai. Is se nakhun tezi se
barhte hain. Is ke sath sath, nakhun khoobsurat aur chamakdar bhi lagte hain.
4. Hathon Aur Cuticles Ko Khushk Na Hone Dein
Khushk skin aur cuticles nakhunon ko kamzor bana dete hain.
Is liye har roz hathon par cream ya lotion lagane ki aadat bana lein. Moisturizer
lagane se nakhunon ke ird gird ki skin soft rehti hai aur nakhun tootne se
mehfooz rehte hain.
5. Healthy Khorak Ka Istemal Karein
Aksar khawateen yeh sawal karti hain keh nakhun lambe karne
ke liye kya khana chahiye?
Baqi doosri cheezon ke sath sath, khorak ka bhi aap ke nakhunon
par acha ya bura asar parta hai. Nakhunon ki sehat ka taluq aap ki ghiza se bhi
hota hai.
Anday, doodh, daal, sabziyan aur phal khane se jahan baqi jism
ko vitamins aur protein milta hai wahan yeh cheezen nakhunon ki growth ke liye bhi
zaroori hain.
Is ke sath sath aap ko zyada Junk Food khane se parhez karna
chahiye aur pani bhi munasib miqdaar mein peena chahiye.
6. Nakhunon Ko Ehtiyat Se Kaaten
Jab nakhunon ko kaatna ho to bilkul ehtiyat se kaatna
chahiye. Nakhun ko kaatte waqt ek hi simt (direction) mein kaaten. Is se nakhun
ki shape bhi achi banti hai aur nakhun tootta bhi nahin hai. Ulta seedha kaatne
se nakhun damage ho jata hai.
7. Zyada Nail Polish Ka Istemal Na Karen
Bohat zyada nail polish aur chemical products ka istemal bhi
kam karein. Is se bhi nakhunon ki sehat par bura asar parta hai. Chemicals
nakhunon ki qudrati chamak ko kam kar dete hain.
Natija:
Lambe nakhun rakhne ka buniyadi maqsad hathon ki khoobsurati
mein izafa karna hota hai. Lekin agar nakhun be-jaan, ganday aur toote-phoote
hon to khoobsurati mein izafa karne ki bajaye kami ka sabab ban sakte hain.
Agar aap apne nakhun lambe karna chahti hain to is ke liye
aap ko chand choti choti baaton par amal karna ho ga. Jese keh; nakhunon ko
saaf rakhna, sahi tareeqe se kaatna, nakhunon par tail se malish karna, nakhunon
ko chabane se guraiz karna aur nakhunon par zyada chemical products lagane se
guraiz karna waghera.
In baaton par amal karne se aap ke nakhun na sirf jaldi
barhna shuru ho jayenge, balke sehatmand, chamakdar aur khoobsurat bhi nazar
ayenge.
Lambe nakhun rakhne ke baad doosra ahm kaam hota hai in ko
saaf karna. Is ke liye aap ko lambe nakhun saaf karne ka sahi tarika bhi maloom
hona chahiye.
Agar aap in aasan tips par baqaidgi se amal karein gi to kuch
hi hafton mein aap ko wazeh faraq nazar aayega.

0 Comments